chhedo to us hasin ko chhedo jo yar ho aisi khata karo jo adab mein shumar ho baithi hai tohmaton mein wafa yun ghiri hui jaise kisi hasin ki gardan mein bar ho din raat mujh pe karte ho kitne hasin zulm bilkul meri pasand ke mukhtar-e-kar ho kitne uruj par bhi ho mausam bahaar ka hai phul sirf wo jo sar-e-zulf-e-yar ho ek sachcha pyar hi nahin bas yar ai 'adam' jaan war do agar koi jhuta bhi yar ho