gham-o-ranj-o-alam ke darmiyan rahna hi padta hai jahan rakkhe khuda ai dil wahan rahna hi padta hai bahaar-e-jaan-faza ho ya khizan rahna hi padta hai ba-har-surat ba-zer-e-asman rahna hi padta hai pareshan-haaliyon mein shadman to rah nahin sakte pareshan-haaliyon mein shadman rahna hi padta hai tulu-e-zindagani se ghurub-e-zindagani tak rawan rahna hi padta hai dawan rahna hi padta hai hui hain gharq lakhon kashtiyan jis ki qayaadat mein hamein us na-khuda se bad-guman rahna hi padta hai kahan aae kahan se aur jaenge kahan yarab kahan rahna nahin padta kahan rahna hi padta hai yaqin jin ko nahin 'bismil' khud apne dast-o-bazu par unhen minnat-e-guzar-digaran rahna hi padta hai