chhin kar wo lazzat-e-saut-o-sada le jaega hath shal kar jaega harf-e-dua le jaega bich ka badhta hua har fasla le jaega ek tufan aaega sab kuchh baha le jaega dekhna badhta hua ye khwahishon ka silsila mauj-e-khun dikhlaega rang-e-hina le jaega be-muqaddar chhod jaega sabhi peshaniyan raushni aankhon ki sine ki ziya le jaega ghar se jate waqt wo ab ke buzurgon ki dua le to jaega magar darta hua le jaega lams mein mil jaega aawaz ka asrar bhi paniyon ke paikaron ko bhi utha le jaega ek parinda raat ki chaukhat pe aaega 'nizam' dekhna hai dega kya aur hum se kya le jaega