har uqda-e-taqdir jahan khol rahi hai han dhyan se sunna ye sadi bol rahi hai angdaiyan leti hai tamanna teri dil mein shishe mein pari naz ke par taul rahi hai rah rah ke khanak jati hai saqi ye shab-e-mah ek jam pila khunki-e-shab bol rahi hai dil tang hai shab ko kafan-e-nur pinha ke wo subh jo ghunchon ki girah khol rahi hai shabnam ki damak hai ki shab-e-mah ki dewi moti sar-e-gulzar-e-jahan rol rahi hai rakhti hai mashiyyat had-e-parwaz jahan bhi insan ki himmat wahin par tol rahi hai pahlu mein shab-e-tar ke hai kaun si duniya jis ke liye aaghosh sahar khol rahi hai har aan wo rag rag mein chatakti hui kaliyan us shokh ki ek ek ada bol rahi hai