kasa-e-fikr mein rakhta hun main daulat apni muflisi mein bhi badalti nahin aadat apni mujh ko is talkh-nawai ne kiya hai ruswa apni nazron mein ba-har-haal hai izzat apni hai mere shahr mein kitne hi shikari chehre apni surat mein jo rakhte nahin surat apni mera akhlaq hi aisa hai ki mere sar par jis ko dekho wahi rakhta hai musibat apni