dar-ba-dar ki khak peshani pe mal kar aaega ghum-phir kar rasta phir mere hi ghar aaega samne aankhon ke phir yakh-basta manzar aaega dhup jam jaegi aangan mein december aaega shor kaisa apni aahat bhi na sun paoge tum is safar mein aisa sannata to aksar aaega jis ki khatir shisha-e-awaz raushan hai bahut us ki jaanib se bhi khamoshi ka patthar aaega sehn-e-dil mein kab se tanhai ke kheme nasb hain ab na shayad mausam-e-hangama-parwar aaega zindagi bhar hum isi ummid par chalte rahe ab ke sahra par kar len to samundar aaega munhadim ho jaegi 'akhtar' fasil-e-intishaar jab nawah-e-jaan mein virani ka lashkar aaega