khami-e-ishq hai izhaar-e-tamanna karna ai dil-e-zar na bhule se bhi aisa karna ban pade kuchh na mohabbat mein agar ai dil-e-zar tujh ko lazim hai asar aah mein paida karna ab ba-juz is ke nahin aur koi shaghl pasand aa gaya jab se unhen khun-e-tamanna karna tum jo chaho to karam aaj bhi ho sakta hai kuchh zaruri to nahin wada-e-farda karna hum ne ghar jalte hue dekhe hain is ki lau se ishq ki shama se dil mein na ujala karna ek do sajde mein kuchh mang khuda se zahid zeb deta nahin har roz taqaza karna ek taraf ishq pe ilzam zamane bhar ke ek taraf shart ye rakh di ki na lab wa karna dekh ai husn bharam is ka hai qaem hum se har kisi se na kahen wada-e-farda karna ye bhi kam-maegi-e-zarf hai aakhir 'sahir' raaz maikhane ka har bazm mein ruswa karna