kisi ke samne is tarah surkh-ru hogi nigah khun-e-tamanna se ba-wazu hogi ba-roz-e-hashr khade honge munsifi ke liye khuda mila to muqabil se guftugu hogi tamam umr ke zakhmon ka hai hisab kitab hamari fard-e-amal bhi lahu lahu hogi qaba-e-zist jo hai kharzar-e-hasti mein wo kis ke sozan-e-tadbir se rafu hogi hamin pe khatm hain jaur-o-sitam zamane ke hamare baad use kis ki aarzu hogi