dilruba pyar mein paida nae dastur na kar tod den ahd-e-wafa itna tu majbur na kar man le baat meri dard ko mashhur na kar shart-e-ruswai jahan walon ki manzur na kar muddaten hijr ki bhar dengi mere zakhmon ko mat laga wasl ke nashtar unhen nasur na kar sarsar-e-waqt ke jhonkon ne bujhaya hai jinhen un charaghon ko jala zindagi be-nur na kar