chhodenge gareban ka na ek tar kabhi hum baithenge junun mein to na bekar kabhi hum rahte na ijazat ke talabgar kabhi hum hote jo tere talib-e-didar kabhi hum pahnaega hum ko wo gul-e-zakhm ki baddhi pahnaenge qatil ko jo ek haar kabhi hum diwana-nawazi hai ki sar ko diye patthar chhodenge na ab daman-e-kohsar kabhi hum wallah buton se nahin karne ke mohabbat rakkhenge na ab rishta-e-zunnar kabhi hum anqa ho jahan se meri jaan nam-e-huma bhi paen jo tera saya-e-diwar kabhi hum phahe to rahe dagh junun par pa-e-jannat kya dar hai jo rakhte nahin dastar kabhi hum tajwiz kiya kijiyega yun hain sazaen ya rahm ke bhi honge saza-war kabhi hum fursat nahin milti hai ghazal kahne ki ai mehr padhte hain tab is dhang ke ashaar kabhi hum