chain pahlu mein use subh nahin sham nahin

chain pahlu mein use subh nahin sham nahin
ek dam bhi dil-e-bimar ko aaram nahin

rukh par nur nahin zulf-e-siyah-fam nahin
wo zamana nahin wo subh nahin sham nahin

shahron shahron meri ruswai ka shohra pahuncha
mujh sa duniya mein koi aashiq-e-bad-nam nahin

chand hi taron ki jhurmut mein zara dekh ai dil
gon mein shokh-e-nasara ki ye bu-tam nahin

waizon jae jahannam mein faza-e-jannat
khar hain gul meri nazron mein jo gulfam nahin

nale karta hun kabhi ya kabhi tadbir-e-visal
aur to hijr ki shab mein mujhe kuchh kaam nahin

fasl-e-gul aai to kya be-sar-o-saman hain hum
shisha-o-jam nahin saqi-e-gul-fam nahin

dil gaya din gaya jaan gai ulfat mein
aur aaghaz hi dekha abhi anjam nahin

bose do tin to le lene di mujh ko lillah
kaam ke waqt na kar o but khud kaam nahin

lakhlakha ki ewaz us zulf ki bu sughunga
hai tap-e-ishq mein sauda mujhe sarsam nahin

naza mein dekh ke jita hun tere kothe ko
lab-e-isa hai ye ai jaan lab-e-baam nahin

'mehr' be-lutf hai bazm-e-shoara be-mashuq
bulbulen chahchahe mein hain koi gulfam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close