chhodo ab us charagh ka charcha bahut hua apna to sab ke hathon khasara bahut hua kya be-sabab kisi se kahin ubte hain log bawar karo ki zikr tumhaara bahut hua baithe rahe ki tez bahut thi hawa-e-shauq dasht-e-hawas ka garche irada bahut hua aakhir ko uth gae the jo ek baat kah ke hum sunte hain phir usi ka iada bahut hua milne diya na us se hamein jis khayal ne socha to is khayal se sadma bahut hua achchha to ab safar ho kisi aur samt mein ye roz-o-shab ka jagna sona bahut hua