ek taswir aankhon mein aati hui ek jati hui phir wahi sham hai phir wahi yaad hai dil dukhati hui shab ke dariya mein uthti hai ek mauj-e-mazi bala-khez kyun laut jati hai kyun sahil-haal se sab mitati hui aur kya hone wala hai ab jo abhi tak nahin ho saka sun raha hun kahin dur se phir sada kun ki aati hui waqt to kuchh lagega par aakhir ye kohsar kat jaega dard ki ek nadi mere sine se rasta banati hui ek gul tha kahin par akela udasi mein duba hua ek titli khayalon mein aati hui muskuraati hui dil samundar mein dube hue sare lafzon ki lashen liye kashtiyon aansoon ki chali aati hain dagmagati hui titliyan mere kamre mein udti hui jharna bahata hua ek pari-zad apne watan ki kahani sunati hoi