'dagh' us bazm mein mehman kahan jata hai tera allah nigahban kahan jata hai panw se mere bayaban kahan chhutta hai hath se mere gareban kahan jata hai ghair jata tha wahan main ne ye kah kar roka tujh se kuchh jaan na pahchan kahan jata hai hijr ke din ki musibat to guzar jaegi wasl ki raat ka ehsan kahan jata hai ruth kar bazm se uttha to na roka mujh ko na kaha us ne kaha man kahan jata hai band karte ho jo hathon se tum aankhen meri kya kahun main ki mera dhyan kahan jata hai 'dagh' tum ne to badi dhum se ki tayyari aaj ye id ka saman kahan jata hai