chhote chhote kai be-faiz mafadat ke sath log zinda hain ajab surat-e-haalat ke sath faisla ye to bahar-haal tujhe karna hai zehn ke sath sulagna hai ki jazbaat ke sath guftugu der se jari hai natije ke baghair ek nai baat nikal aati hai har baat ke sath ab ke ye soch ke tum zakhm-e-judai dena dil bhi bujh jaega dhalti hui is raat ke sath tum wahi ho ki jo pahle the meri nazron mein kya izafa hua in atlas o banat ke sath itna paspa na ho diwar se lag jaega itne samjhaute na kar surat-e-haalat ke sath bhejta rahta hai gum-nam khaton mein kuchh phul is qadar kis ko mohabbat hai meri zat ke sath