izzat mujhe mili hai bahut iltija ke baad

izzat mujhe mili hai bahut iltija ke baad
dar pe gaya na ghair ke rab ki ata ke baad

achchha hua ki aarzu puri nahin hui
nikhri hamari khwahishen apni qaza ke baad

karne lagenge rah mein jugnu bhi raushni
suraj jo dub jaega khatm-e-ziya ke baad

har be-wafa ne aashiyan apna badal diya
tanha raha hun shahr mein zikr-e-wafa ke baad

pani pe main ne mar ke patthar samajh liya
dubenge ahl-e-zulm bhi jaur-o-jafa ke baad

honge hazar qism ke anjum to kya hua
tab bhi falak na chahiye man ki rida ke baad

'irfan' wo to khuld mein karne lage safar
masjid ki or aae jo farsh-e-aza ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close