hai ye takiya teri ataon par wahi israr hai khataon par rahen na-ashna zamane se haq hai tera ye aashnaon par rahrawo ba-khabar raho ki guman rahzani ka hai rahnumaon par hai wo der aashna to aib hai kya marte hain hum inhin adaon par us ke kuche mein hain wo be-par o baal udte phirte hain jo hawaon par shahsawaron pe band hai jo rah waqf hai yan barahna panw par nahin munim ko us ki bund nasib meinh barasta hai jo gadaon par nahin mahdud bakhshishen teri zahidon par na parsaon par haq se darkhwast afw ki 'haali' kije kis munh se in khataon par