chhup kar roya ja sakta hai dil bahlaya ja sakta hai aadam-zade ishq ki rah mein kaam bhi aaya ja sakta hai din ko grahan lag sakta hai dhup mein saya ja sakta hai izzat milna mushkil hai par nam kamaya ja sakta hai namak-harami madda hai jo khun mein paya ja sakta hai aansu pani hai par is se shahr jalaya ja sakta hai ghurbat mein gar bhuk lage to patthar khaya ja sakta hai pyase lashkar ke pani mein zahr milaya ja sakta hai waise milna na-mumkin hai khwab mein aaya ja sakta hai is basti mein chup rah kar bhi shor machaya ja sakta hai khud se tere chhed ke qisse ji lalchaya ja sakta hai tere ek ishaare par bhi 'sahar' manaya ja sakta hai