lakh chehre the magar tujh sa kahin par bhi na tha

lakh chehre the magar tujh sa kahin par bhi na tha
tha na behtar tujh ko kho kar haal bad-tar bhi na tha

itna kar deta ki tu koi mujhe ilzam de
di saza par jurm koi to mere sar bhi na tha

ladkhadae pair phir kyun kyun nazar kho si gai
sirf teri yaad thi hathon mein saghar bhi na tha

ho gaya jitna ki tanha doston ki bhid mein
dasht-o-wiraan mein akela khud ko pa kar bhi na tha

sach hai yun to gham bahut the qaid kar pae nahin
aasman sar pe khula tha dil ye be-par bhi na tha

thi na koi aisi manzil jo mujhe aawaz de
mujh ko rakkhe bandh kar aisa mera ghar bhi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close