hum hain bas itne hi sahil-ashna khak-e-manzil jitni manzil-ashna tujh se chhutte hi ye aalam hai ki ab dil ki dhadkan bhi nahin dil-ashna shama be-parwana jalwa be-nagar kya hue aakhir wo mahfil-ashna aah ye tufan-ba-kaf abr-o-hawa aah wo yaran-e-sahil-ashna waqt wo sahra ki jis ki gard mein gum hue jate hain manzil-ashna is ki qurbat par na itrao 'amir' mauj kab hoti hai sahil-ashna