dahan ko zakhm zaban ko lahu lahu karna azizo sahl nahin us ki guftugu karna khule daricho ko takna to hao-hu karna yahi tamasha sar-e-sham ku-ba-ku karna jo kaam mujh se nahin ho saka wo tu karna jahan mein apna safar misl-e-rang-o-bu karna jahan mein aam hain nukta-shanasiyan us ki tum ek lafz mein tashrih-e-arzu karna dil-e-tabah ki iza-parastiyan malum jo dastaras mein na ho us ki justuju karna main us ki zat se inkar karne wala kaun na ho yaqin to mujhe us ke ru-ba-ru karna jo harf likhna use lauh-e-ab par likhna jo naqsh karna sar-e-sath-e-abju karna