dil ka har ek dagh charaghan se kam nahin meri khizan bhi fasl-e-bahaaran se kam nahin is mein hai khun-e-dil ka samundar chhupa hua aankhon mein ek ashk bhi tufan se kam nahin yaadon mein hain gulab se chehre saje hue shahr-e-khayal kucha-e-jaanan se kam nahin hai khak par nashist falak par udan hai meri zamin bhi takht-e-sulaiman se kam nahin jine ka hausla bhi mayassar na ho jise us ki sahar bhi sham-e-ghariban se kam nahin nikle kisi ki yaad mein aansu jo aankh se mere liye wo lal-e-badakhshan se kam nahin aankhon ke samne hain manazir ajib se ye jagna bhi khwab-e-pareshan se kam nahin 'shahid' firaq-e-yaad mein ye dil ka haal hai viraniyon mein dasht-o-bayaban se kam nahin