chhuriyan chalin shab dil o jigar par lanat hai is aah-e-be-asar par baalon ne tere bala dikha di jab khul ke wo aa rahi kamar par name ko mere chhupa rakhega tha ye to guman na nama-bar par phirte hain jharokon ke tale shah us ku mein umid-e-yak-nazar par kya jaga hai ye bhi hijr ki shab zardi si hai kyun rukh-e-qamar par phir ghairat-e-ishq ne bithae darban shadid us ke dar par rahti hain ba-waqt-e-girya aksar do ungliyan apni chashm-e-tar par hai ishq sukhan ka 'mushafi' ko mail nahin itna sim-o-zar par