na puchho aql ki charbi chadhi hai us ki boti par kisi shai ka asar hota nahin kam-bakht moti par kafan se dusron ke jo silate hain libas apna wo jazbe hans rahe hain ishq-e-sada ki langoti par yahi aish ek din ahl-e-hawas ka khun chatega abhi kuchh din laga rakkhen wo is kutte ko roti par na jaane kaise nazuk tar ko mizrab ne chheda ki wajd aakhir unhen bhi aa gaya nocha kasauti par mohabbat kuchh badi hai umr mein aur hai hawas chhoti magar dil hai ki hai sau jaan se lahlut chhoti par