chhut gae hum jo asir-e-gham-e-hijran ho kar ud gaya rang-e-rukh-e-yar pareshan ho kar kucha-e-yar se utthe na pareshan ho kar mil gae khak mein khak-e-dar-e-jaanan ho kar sath apne dil-e-bimar ko lete jao kyun hon hum tum se khajil talib-e-darman ho kar na gila tum se sitam ka na wafa ka shikwa kya karoge mere ahwal ke pursan ho kar haal apna jo bayan karta hun logon se 'rashid' dekhte hain meri surat wo pareshan ho kar