ye tasawwur ka war jhuta hai khwab jhute hain sar jhuta hai phul tum tod lae shakhon se kya bahaaron se pyar jhuta hai aankhon mein kuchh zaban par kuchh hai tera kirdar yar jhuta hai sari gustakhiyan rahin qaem us pe rutba waqar jhuta hai lapata hun main ghar nahin koi chitthi jhuti hai tar jhuta hai maut se tez daud kis ki hai umr par shahsawar jhuta hai dhup ke shul bikhre hain har sun chandni ka khumar jhuta hai aankhon mein rakh hunar takallum ka lafzon par e'tibar jhuta hai bar-e-khatir hai hum ko fikr-e-zist hasraton ka mazar jhuta hai tutna aaine ki fitrat hai pattharon se qarar jhuta hai 'chand' kab tak karoge dil ka yaqin aap ka intizar jhuta hai