chaman ko khar-o-khas-e-ashiyan se aar na ho kahin guzishta bahaaron ki yaadgar na ho chamak raha hai andhere mein karobar-e-hayat nazar nazar ho to jina bhi sazgar na ho ye zulf-o-rukh ye shab-o-roz ye bahaar-o-khizan wo silsila hai ki qat-e-nazar bhi bar na ho bahaar kuchh jo mili rang-o-bu se begana wo aa gae ki anasir mein intishaar na ho ye tar-o-pud nizam-e-khirad bikhar ke rahe junun ba-qadr-e-tajalli jo hoshiyar na ho ye dar raha hun main takrar-e-mausam-e-gul se mita hua koi aalam phir aashkar na ho ye aarzu hai ki khush-fahmi-e-talab hai 'nushur' umid kya hai jo duniya umid-war na ho