ek qatra na kahin khun ka baha mere baad zang-alud hui tegh-e-jafa mere baad kyun har ek mod pe hota hai ghutan ka ehsas tang kyun hone lagi meri faza mere baad dekhte dekhte hi mand pade shams-o-qamar khud se bezar hue subh-o-masa mere baad har taraf zardi-e-rukhsar nazar aati hai kahin raushan na mila rang-e-hina mere baad ruk gaya qafila-e-umr-e-subuk-rau shayad dekh khamosh hai aawaz-e-dara mere baad zindagi bhar na kiya yaad kisi ne aur ab puchhte hain wo mere ghar ka pata mere baad umr bhar us ko sambhaale hue rakkha main ne gir na jae kahin diwar-e-ana mere baad ab bhi kya is mein hai aabaad syahi 'hamdam' mere virane ka kya haal hua mere baad