kar na ruswa dil-e-betab bas ai wae hamein shab ke nalon se khajil karte hain ham-sae hamein dosto bahr-e-khata koi to batlao ilaj ki shab-e-hijr sar-e-sham se nind aae hamein taziyat-e-nama-e-uftada sar-e-rah mein hum ro pade dekh ke jo shakhs pada pae hamein khub-ruyon ko jahan dekhte hain ai 'maruf' hasrat aati hai ki aisa na kiya hae hamein