chhutta hi nahin ho jise aazar-e-mohabbat mayus hun main bhi ki hun bimar-e-mohabbat imkan nahin jite-ji ho is qaid se aazad mar jae tabhi chhute giraftar-e-mohabbat taqsir na khuban ki na jallad ka kuchh jurm tha dushman-e-jaani mera iqrar-e-mohabbat har jins ke khwahan mile bazar-e-jahan mein lekin na mila koi kharidar-e-mohabbat is raaz ko rakh ji hi mein ta ji bache tera zinhaar jo karta ho tu izhaar-e-mohabbat har naqsh-e-qadam par tere sar beche hain aashiq tuk sair to kar aaj tu bazar-e-mohabbat kuchh mast hain hum dida-e-pur-khun-e-jigar se aaya yahi hai saghar-e-sarshaar-e-mohabbat bekar na rah ishq mein tu rone se hargiz ye girya hi hai aab-e-rukh-e-kar-e-mohabbat mujh sa hi ho majnun bhi ye kab mane hai aaqil har sar nahin ai 'mir' saza-war-e-mohabbat