tumhein kya kaam nalon se tumhein kya kaam aahon se chhupaya ho gunah-e-ishq to puchho gawahon se main kajkol-e-dil-e-be-muddaa le kar kahan jaun ye paigham-e-talab kyun unchi unchi bargahon se zaban ho ek ulfat ki to mumkin hai zaban-bandi hui jo baat chupke ki wo kah dali nigahon se mohabbat andar andar zist ka naqsha palatti hai yahi chalti hui sansen badal jaengi aahon se sanad be-aitmadi ki hai qabl-e-imtihan goya bayan-e-haal kai pahle halaf lena gawahon se mohabbat nek-o-bad ko sochne de ghair mumkin hai badhi jab be-khudi phir kaun darta hai gunahon se hue jab aap se bahar phir ehsas-e-dui kaisa pata manzil ka milta hai inhin gum-karda rahon se bata sakti nahin roidgi-e-sabza-o-gul bhi faqiron se pate the ye gadhe ya baadshahon se chhalakte zarf ka khulta bharam khota hai baat apni sukun pata hai dil ka dard nalon se na aahon se ye pahle soch len aaankhon mein lahraate hue aansu ki wo phir uth bhi sakte hain jo gir jaen nigahon se mila baitha hai sab mein kuchh magar munh se nahin kahta alag samho tum apne 'arzu' ko dad-khwahon se