thukrae hue dil ki yaad aai to kya aai phenka hua shisha tha tuta to sada aai din zauq-e-nawazish se begana sahi lekin jalwa hai na shoala hai raat aai to kya aai ishrat-gah-e-baatil ki raunaq mein kami kya hai gar baad-e-saba ja kar ek shama bujha aai badhti hui betabi kuchh ruth gai shayad jhatke hue daman se hathon ko haya aai uthta hai qadam lekin raftar ghunuda hai nind aa gai raston ko manzil ki hawa aai hai kuchh to 'nushur' ehsan is umr-e-rawan ka bhi ek roz kinare par kashti to laga aai