chingariyon ka raqs tha bujhte alaw mein kal raat ek qatl hua tha padaw mein kya us ke ji mein aai thi wo shakhs kaun tha ek chikh kho gai thi nadi ke bahaw mein duniya ne us ki baat na mani ye aur baat sanjidgi zarur thi us ke sujhao mein hain zer-e-ab gauhar-e-nayab be-shumar kya kya samet laenge chhoti si naw mein ye kaun apne rukh ka sawera liye hue chupke se aa gaya mere sune padaw mein us jaisa koi dusra milta nahin 'sahar' mashhur tha wo shakhs bahut rakh-rakhaw mein