yaad un ki dushman-e-aram ho kar rah gai be-qarari ishq ka inam ho kar rah gai zist apni kushta-e-alam ho kar rah gai han rahin-e-gardish-e-ayyam ho kar rah gai har qadam par hum nai uljhan mein phans kar rah gae zindagani ek musalsal dam ho kar rah gai zindagi mein ho saka na hum ko ehsas-e-khushi zindagi apni shikasta jam ho kar rah gai talkhiyan mazi ki kuchh yun zehn par chhai rahin ishrat-e-nau ek khayal-e-kham ho kar rah gai har naya din sath laya kuchh nai mayusiyan har sahar apne liye to sham ho kar rah gai ho gaya dil par tasallut is tarah aalam ka har khushi aakhir barae-nam ho kar rah gai dard-o-ranj-o-gham sharik-e-zindagi the har tarah maut aakhir muft mein badnam ho kar rah gai dil-lagi aaghaz-e-ulfat hai ye mana ham-nashin aur agar dil ki lagi anjam ho kar rah gai ishq ka eazaz pahle tha kisi ko hi nasib ab ye tohmat har kisi ke nam ho kar rah gai shaikh sahab aap se kam-zarf logon ke tufail mai-parasti dahr mein badnam ho kar rah gai gham zamane-bhar ke sab hisse mein mere aa gae har khushi duniya ki un ke nam ho kar rah gai main to mar kar bhi unhen ai 'sehr' kar paya na khush koshish-e-akhir bhi ye nakaam ho kar rah gai