chitwan ki kahun ki ishaaraat ki garmi hai nam-e-khuda us mein har ek baat ki garmi rone se mere us ko araq aa gaya yaro sach hai ki buri hoti hai barsat ki garmi tuk phul chhua tha so nazakat se kai bar rah rah ke dikhai mujhe gul-hat ki garmi khulwate hi bundon ke badan garm ho aaya shayad ki lagi us ko mere hat ki garmi jalta hun main aur shoale nahin dete dikhai hai ishq mein yaro ye tilismat ki garmi rahna hai koi din to samajh jaiyo ai dil yan phir wahi thahri hai mulaqat ki garmi garmi thi kahin aah hum afsurda-dilon mein saqi ki faqat hai ye inayat ki garmi aate hi jo tum mere gale lag gae wallah us waqt to is garmi ne sab mat ki garmi kahta hai wo jis dam ki chalo hum se na bolo is baat mein hai aur hi ek baat ki garmi sab poch hai zahir ki ye shokhi-o-shararat mashuq mein jab tak ki na ho zat ki garmi tum ghussa ho ya qahr ho aatish ho ghazab ho ab hum ne ye sab dil pe musawat ki garmi ya-hazrat-e-dil tum to bade sahib-e-dil the rakhte the bahut apne kamalat ki garmi ek hi nigah-e-garm se bas ho gae tum sard ab kahiye kahan hai wo karamat ki garmi yun garmi-e-sohbat to bahut hogi 'nazir' aah par yar na bhulegi mujhe raat ki garmi