mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya ek pagal ne bahut logon ko pagal kar diya apni palkon par saja kar mere aansu aap ne raste ki dhul ko aankhon ka kajal kar diya main ne dil de kar use ki thi wafa ki ibtida us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya ye hawaen kab nigahen pher len kis ko khabar shohraton ka takht jab tuta to paidal kar diya dewtaon aur khudaon ki lagai aag ne dekhte hi dekhte basti ko jangal kar diya zakhm ki surat nazar aate hain chehron ke nuqush hum ne aainon ko tahzibon ka maqtal kar diya shahr mein charcha hai aakhir aisi ladki kaun hai jis ne achchhe-khase ek shair ko pagal kar diya