na apne bas mein hai rona na hae hans dena koi rulae to rona hansae hans dena wo baaton baaton mein bhar aana apni aankhon ka wo us ka dekh ke surat ko hae hans dena kisi ke zulm hain kuchh aise be-mahal hum par ki ji mein aata hai rone ki jae hans dena wo khud hansae to kam-bakht dil zidile dil ye waza-dari hai kyun hae hae hans dena udul-e-hukmi-e-dard-e-jigar ki ab ai chashm jo lakh bar wo uth kar rulae hans dena koi jo tujh pe hanse barq-pash aalam-soz to phir har ek pe tu bhul jae hans dena wo hum se puchhte hain tum hamare aashiq ho jawab kya hai ab us ke siwae hans dena safi' kahan ki shikayat kahan ka gham-ghussa kisi ka ain ladai mein hae hans dena