chitwan mein shararat hai aur scene bhi chanchal hai kafir teri nazron mein kuchh aur hi chhal-bal hai baala bhi chamakta hai jugnu bhi damakta hai baddhi ki lipat tis par tawiz ki haikal hai gora wo gala nazuk aur pet milai sa sine ki safai bhi aisi goya makhmal hai wo husn ke gulshan mein maghrur na ho kyun-kar badhti hui dali hai uthti hui konpal hai angiya wo ghazab jis ko malmal hi kare dil bhi kya jaane ki shabnam hai nansukh hai ki malmal hai ye do jo nae phal hain sine pe tere zalim tuk hath lagane de jine ka yahi phal hai ubhra hua wo sina aur josh bhara joban ek naz ka dariya hai ek husn ka baadal hai kya kije bayan yaro chanchal ki rukhawat ka har baat mein dur dur hai har aan mein chal-chal hai ye waqt hai khalwat ka ai jaan na kar kal kal kafir teri kal kal se ab ji mera bekal hai kal main ne kaha us se kya dil mein ye aaya jo kanghi hai na choti hai missi hai na kajal hai malum hua hum se ruthe ho tum ai jaani ulta hi dupatte ka mukhde pe ye aanchal hai ye sun ke lagi kahne ruthi to nahin tujh se par kya kahun do din se kuchh dil mera bekal hai jis din hi 'nazir' aa kar wo shokh mile hum se hath-pher hain bose hain din raat ki mal-dal hai