na rota zar-zar aisa na karta shor-o-shar itna

na rota zar-zar aisa na karta shor-o-shar itna
ilahi kya karun dard-e-jigar itna jigar itna

bulane ke tariqe se bulaya kijiye hum ko
rahe malhuz-e-khatir kam se kam bar-e-digar itna

wo jitna mujh se milte hain usi milne mein khubi hai
kisi se bhi mile to bas mile har ek bashar itna

tere sath aaj kaise kaise zalim yaad aae hain
na roe the na roenge kabhi hum umr-bhar itna

wahi log aap ke nazdik sachche aashiqon mein hain
ki jin ki aankh mein aansu nahin hai shor-o-shar itna

bade bhole hain kya duniya mein bhole aise hote hain
unhin main kya samajhta hun na samjhe umr-bhar itna

nahin mashuq to phir kya bala hain koi aafat hain
naya ghussa hai un ka aaj itni baat par itna

wo mujh se kis liye milte hain kya malum logon ko
samajhte honge sab un par bhi hai is ka asar itna

tere aashiq ki surat ab to pahchani nahin jati
satate hain bhala is tarah aisa is qadar itna

kisi surat ye shan-e-dilbari dekhi nahin jati
meri aankhen bhi le ja aur ek ehsan kar itna

kisi ko apni barbaadi ka bais kya bataen hum
mohabbat hai buri shai jaanta hai har bashar itna

luteron ki ban aae mujh ko shadi marg ho jae
kaha tha kis ne ai data mere daman ko bhar itna

zara bahr-e-khuda insaf kar aur bhulne wale
taghaful shewa-e-mashuq hota hai magar itna

nahin hai be-khudi hi ki tamanna hum ko ai saqi
tere maston ka sadqa kuchh zara sa ghunt-bhar itna

adu hum se tumhaare zulm ka shikwa nahin karte
dikhate hain ki dekho hum bhi rakhte hain jigar itna

mujhe jine se tum mayus na-ummid hi rakkho
tasalli do magar itni dilasa do magar itna

diya khat un ko lekin kab diya jab the wo ghusse mein
na samjha tha payami ki samajh itni hai sar itna

safi' kyun qadr ka talib hua hai is zamane mein
are kam-bakht tere pas kab hai mal-o-zar itna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close