mere karobar mein sab ne badi imdad ki dad logon ki gala apna ghazal ustad ki apni sansen bech kar main ne jise aabaad ki wo gali jannat to ab bhi hai magar shaddad ki umr bhar chalte rahe aankhon pe patti bandh kar zindagi ko dhundne mein zindagi barbaad ki dastanon ke sabhi kirdar kam hone lage aaj kaghaz chunti phirti hai pari baghdad ki ek sulagta chikhta mahaul hai aur kuchh nahin baat karte ho 'yagana' kis aminabaad ki