jate jate ye nishani de gaya wo meri aankhon mein pani de gaya jagte lamhon ki chadar odh kar koi khwabon ko jawani de gaya mere hathon se khilaune chhin kar mujh ko zakhmon ki kahani de gaya hal na tha mushkil ka koi us ke pas sirf wade aasmani de gaya khud se sharminda mujhe hona pada aaina jab mera sani de gaya mujh ko 'azar' ek fareb-e-arzu khub-surat zindagani de gaya