khuda bhi meri tarah ba-kamal aisa tha tarasha us ko jo mere khayal aisa tha har ek lamha yahi dar tha kho na jae kahin raha wo pas magar ehtimal aisa tha tha titliyon ke paron sa latif us ka badan jo tab-e-lams na rakkhe jamal aisa tha pighalti chandi tha nisf-un-nahaar par jab tha bikharta sona tha suraj zawal aisa tha jhukae rakhta tha palken wo baaten karte hue kahan ka shokh tha khalwat mein haal aisa tha labon se phut baha git siskiyan ban kar ki lafz lafz mein us ke malal aisa tha hue asir to phir umr bhar riha na hue hamare gird talluq ka jal aisa tha