dil aag mein furqat ki jalta hai to jalne do

dil aag mein furqat ki jalta hai to jalne do
shoale ko mohabbat ke kuchh aur machalne do

manzil ki tadap aakhir pahunchaegi manzil tak
gir gir ke sanbhalta hun gir gir ke sanbhalne do

be-rah-rawi meri hai dars-e-amal mujh ko
uljhi hui rahon pe chalta hun to chalne do

duniya ne badal dala mafhum mohabbat ka
ab saz-e-mohabbat ki aawaz badalne do

garmi-e-amal hogi phir meri rag-o-pai mein
yakh-basta se jazbon ki ye barf pighalne do

har rah pe bikhre hain angare tassub ke
angaron pe chalna hai angaron pe chalne do

is bagh-e-watan ki bhi kuchh fikr karo yaro
lillah ise bhi to kuchh phulne phalne do

logo ye ghanimat hai kyon is ko bujhate ho
ye sham-e-mohabbat hai din-raat ise jalne do

aaegi hayat-e-nau 'maghmum' har ek dil mein
paimana-e-atish mein har sher ko dhalne do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close