chot lag jae bhi to dard nahin hota mujhe dil agar tut bhi jae to koi baat nahin hai bada kufr jo sochun main koi us ke siwa wo bhatak jae bahak jae koi baat nahin zat-e-niswan ko hi bas sabr ka dam bharna hai be-sabab zulm wo dhae to koi baat nahin ghar se be-parda jo niklun to main mujrim thahrun tar tar aankh se kar de wo koi baat nahin doli uth jae to aana hai janaza ban kar maut se pahle hi maut aae koi baat nahin