koi jab chhod jata hai to dil ki maut hoti hai bahaaren be-sabab hain jab koi apna nahin hota ye aankhen nind ki wadi mein ja kar laut aatin hain wo wadi maut ki hoti hai aur sapna nahin hota badan ko chahiye ek lothda garmaish-e-khun ko na hota dil jo sine mein dhdakna bhi nahin hota bahut do-chaar qadmon ki masafat tang karti hai qadam ho jaen patthar ke to phir chalna nahin hota mohabbat ke karam hain karb aur angare yaadon ke agar hoti na ye zalim to phir jalna nahin hota kisi ki yaad mein ji kar hazaron bar marte hain agar na zindagi hoti kabhi marna nahin hota