dard mein ek zara kami aai aap aae to zindagi aai sach batana parae deson mein kya meri yaad bhi kabhi aai barq jhalki thi shokh aankhon mein jism se ruh tak chali aai aaj phir zakhm ne dahan khole aaj phir aankh mein nami aai ham-safar the mere ghamon ke hujum sath kuchh dur tak khushi aai aag ko raushni samajh baitha mujh ko ye soch kar hansi aai dil dhadakne laga 'sharafat' phir un ke didar ki ghadi aai