chunne na diya ek mujhe lakh jhade phul allah kare khana-e-gul-chin mein pade phul ham-palla hue us se na chhote na bade phul aankhon mein tula yar taraazu mein pade phul ja ja ke bahut zulf ke kuche mein ade phul lekin na kabhi kan ke patte se lade phul wo murgh-e-chaman hain ki bahaar apni khizan hai kaliyae par-o-baal jab apne to jhade phul kuchh bhi hai jinhen azm wahi sadr-nashin hain hote hain gul-ru-e-sabad sab se bade phul sarson bhi nahin phulti aankhon mein hamari jab tak ki chadha jaen na do-chaar ghade phul raushan-sukhani khatm hai us ghuncha-dahan par hath-phul ke munh se kabhi aise na jhade phul taqdir mein zillat thi gul-ru-e-sanam se thaalon ne bahut gor jhankae na gade phul ranga ho agar dast-baranjan to hai chandi wo gul jo na pahne to hain sone ke kade phul fariyaad kar us dard se ai murgh-e-gulistan kante ki sinan bandh ke gulchin se lade phul kis din na khinche aah-e-sharar-bar ki talwar kasaraat na main ne sipar-e-mah mein jade phul kya jurm hai kis bulbul-e-shaida ko jalaya kyun chaar-pahar dhup mein hote hain khade phul kya sabza-e-rukhsar se nisbat hai chaman ko kante ye wo hain jin ki hain palle mein dhade phul hum zakhmiyon ko chandni ki tab nahin hai sahte hain kadi dhup nihayat hain kade phul daghon ke hi qabil the hum is bagh mein ai 'bahr' gulchin-e-muqaddar ne diye hain ye sade phul