nazzara-e-jamal ne sone nahin diya shab bhar tere khayal ne sone nahin diya pahle nawed-e-wasl meri nind le udi phir nashsha-e-visal ne sone nahin diya jis roz us ke jhut ki sachchaiyan khulin suqraat ki misal ne sone nahin diya kis khub-surati se juda kar diya hamein dushman ke is kamal ne sone nahin diya jo bhik mangte hue bachche ke pas tha us kasa-e-sawal ne sone nahin diya shab bhar main jagti rahi jis ranj ke sabab din ko bhi us malal ne sone nahin diya kitni thakan safar ki thi par wapsi ki sham is shauq-e-arz-e-haal ne sone nahin diya 'ruhi' main khwab-e-ishq se jagi to us ke baad kitne hi mah-o-sal ne sone nahin diya