chup-chap sulagta hai diya tum bhi to dekho kis dard ko kahte hain wafa tum bhi to dekho mahtab-ba-kaf raat kase dhund rahi hai kuchh dur chalo aao zara tum bhi to dekho kis tarah kinaron ko hai sine se lagae thahre hue pani ki ada tum bhi to dekho yaadon ke saman-zar se aai hui khushbu daman mein chhupa lai hai kya tum bhi to dekho kuchh raat gae roz jo aati hai faza se har dil mein hai ek zakhm chhupa tum bhi to dekho har hanste hue phul se rishta hai khizan ka har dil mein hai ek zakhm chhupa tum bhi to dekho kyun aane lagin sans mein gahraiyan socho kyun tut chale band-e-qaba tum bhi to dekho