patte nahin kahin hari shakh-e-shajar nahin is shahr mein bahaar ki koi khabar nahin rang-e-khizan mein lakh milaun dilon ke rang mauj-e-sharab-o-sher mein koi asar nahin dube pade hain qulzum-e-khwab-o-khayal mein mauj-e-rawan kahan hai kisi ko khabar nahin dariya mein mauj ban ke kahan tak rahe koi mauj-e-rawan ba-surat-e-diwar-o-dar nahin ab manzil-e-wajud nahin dil ki kaenat is ghar mein ek main hun koi baam par nahin tu rahat-e-wajud hai tu ruh-e-kaenat is ghar mein tu nahin hai to ye mera ghar nahin dasht-e-talab hai khatm yahan naqa-e-nigah ye wo zamin hai jis mein tumhaara guzar nahin